अंत के दिवस सहा नहीं जा सकेगा आधी रात में झंझा का भयंकर संगीत
'मैं हो जाऊँगी शिला'—कह कर छन्न से ग़ायब हो गई एक आकृति
मुझे अपनी ही बात का दोष लग गया हो जैसे
भय और अंत में बहुत देर तक रहने के बाद हृदयाघात की संभावनाएँ शून्य हो गईं
अंत की सीढ़ियों से उतरता और पानी में भीगता मेरा शव
उसपे लिपटा रेशमी कपड़ा और गेंदे की माला
वर्षा से स्पर्श पा कर आभास दे रहे थे कि शव में कोई स्पंदन है
वहाँ अब कोई जीव नहीं
पानी से स्पर्श पा कर कपड़े में रौशनी हो उठती थी
बुझ जाती थी
मध्य रात्रि और सुबह के बीच हो रही इस घनघोर वर्षा में
शव के वस्त्र अंतिम संकेत दे रहे हैं
तुम्हारी ओर जीवन है
इससे पहले कि बहुत तेज़ आवाज़ आए खप्पर के टूटने की
उठो रौशनी करो
कहीं कोई बालक स्वप्न में अपने हृदय के टूटने की ध्वनि न सुन ले।
ant ke diwas saha nahin ja sakega aadhi raat mein jhanjha ka bhayankar sangit
main ho jaungi shila—kah kar chhann se ghayab ho gai ek akriti
mujhe apni hi baat ka dosh lag gaya ho jaise
bhay aur ant mein bahut der tak rahne ke baad hridayaghat ki sambhawnayen shunya ho gain
ant ki siDhiyon se utarta aur pani mein bhigta mera shau
uspe lipta reshmi kapDa aur gende ki mala
warsha se sparsh pa kar abhas de rahe the ki shau mein koi spandan hai
wahan ab koi jeew nahin
pani se sparsh pa kar kapDe mein raushani ho uthti thi
bujh jati thi
madhya ratri aur subah ke beech ho rahi is ghanghor warsha mein
shau ke wastra antim sanket de rahe hain
tumhari or jiwan hai
isse pahle ki bahut tez awaz aaye khappar ke tutne ki
utho raushani karo
kahin koi balak swapn mein apne hirdai ke tutne ki dhwani na sun le

स्रोत :
रचनाकार : गार्गी मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.