ख़ुद को हिरासत में लेकर
घर में खोज रहा हूँ बंदीघर
कहाँ करूँ क़ैद ख़ुद को
ताला लगाऊँ किस दरवाज़े पर
दस दरवाज़े हैं इस घर में
कम नहीं हैं झरोखे भी
पता नहीं, कहाँ से निकल जाऊँ
कहाँ से लाऊँ इतने ताले
एक कमरा बंद करने से
बंद नहीं होता पूरा घर
ये घर ऐसा खुला हुआ है
भीतर-बाहर मिला हुआ है
मैंने इसे नहीं माँगा है
घर ऐसा ही मिला हुआ है
भीतर रहकर बाहर जाऊँ
बाहर रहकर भीतर आऊँ
मन को कहाँ बिठाऊँ
इतने खुले हुए इस घर में
बंदीघर कहाँ बनाऊँ
बेहद के इस घर में
कैसे क़ैद रहूँ?
क्या अपने मुँह पर ताला डालूँ,
आँख मूँद लूँ,
किसी बात पर कान न धरूँ,
बैठा-बैठा हाथ मलूँ,
जो होता है, वो होने दूँ?
khu ko hirasat mein lekar
ghar mein khoj raha hoon bandighar
kahan karun qaid khu ko
tala lagaun kis darwaze par
das darwaze hain is ghar mein
kam nahin hain jharokhe bhi
pata nahin, kahan se nikal jaun
kahan se laun itne tale
ek kamra band karne se
band nahin hota pura ghar
ye ghar aisa khula hua hai
bhitar bahar mila hua hai
mainne ise nahin manga hai
ghar aisa hi mila hua hai
bhitar rahkar bahar jaun
bahar rahkar bhitar aun
man ko kahan bithaun
itne khule hue is ghar mein
bandighar kahan banaun
behad ke is ghar mein
kaise qaid rahun?
kya apne munh par tala Dalun,
ankh moond loon,
kisi baat par kan na dharun,
baitha baitha hath malun,
jo hota hai, wo hone doon?
khu ko hirasat mein lekar
ghar mein khoj raha hoon bandighar
kahan karun qaid khu ko
tala lagaun kis darwaze par
das darwaze hain is ghar mein
kam nahin hain jharokhe bhi
pata nahin, kahan se nikal jaun
kahan se laun itne tale
ek kamra band karne se
band nahin hota pura ghar
ye ghar aisa khula hua hai
bhitar bahar mila hua hai
mainne ise nahin manga hai
ghar aisa hi mila hua hai
bhitar rahkar bahar jaun
bahar rahkar bhitar aun
man ko kahan bithaun
itne khule hue is ghar mein
bandighar kahan banaun
behad ke is ghar mein
kaise qaid rahun?
kya apne munh par tala Dalun,
ankh moond loon,
kisi baat par kan na dharun,
baitha baitha hath malun,
jo hota hai, wo hone doon?
स्रोत :
रचनाकार : ध्रुव शुक्ल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.