एक रेगिस्तान था
रेगिस्तान में एक पेड़
पेड़ ने अपनी जड़ों को आसमान तक फैलाया पर पेड़ की जड़ें सूख गईं
उन सूखी जड़ों में स्त्रियाँ आकार लेने लगीं
स्त्रियों की गंध पाकर
एक पैग़ंबर ने प्रार्थना लिखी
और हर स्त्री को यह कह कर दी
कि इसे उस पुरुष की आँखों को सुनाना
जो अपनी कल्पनाओं से स्मृतियाँ बना सकता हो
इस तरह
हर स्त्री ने हर पुरुष को पैग़ंबर की प्रार्थना सुनाई
और हर पुरुष ने हर स्त्री के होंठों को चूमा
और पैग़ंबर
वह अब तक मुस्कुरा रहा है!
ek registaan tha
registaan me.n ek peD
peD ne apnii jaDo.n ko aasamaan tak phailaaya par peD kii jaDe.n suukh ga.ii.n
un suukhii jaDo.n me.n striyaa.n aakaar lene lagii.n
striyo.n kii ga.ndh paakar
ek paigha.mbar ne praarthana likhii
aur har strii ko yah kah kar dii
ki ise us purush kii aa.nkho.n ko sunaana
jo apnii kalpanaa.o.n se smritiyaa.n bana sakta ho
is tarah
har strii ne har purush ko paigha.mbar kii praarthana sunaa.ii
aur har purush ne har strii ke ho.nTho.n ko chuuma
aur paigha.mbar
vah ab tak muskura raha hai!

स्रोत :
रचनाकार : पूनम अरोड़ा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.