सब चीज़ें जैसी की तैसी धरी हैं एक सकते का आलम
सिर्फ़ हवा फेफड़ों में ख़ून नाड़ियों में साँस
मुट्ठियों में कि कोई कहता है एक पेड़ अपना हरापन लिए-दिए
अररा कर गिर रहा है
एक ख़ौफ़ की झुरझरी ज़बान से चिपक गई
झुटपुटे में एक स्त्री
बस में अपना स्तन बचाए उतर गई
पत्तियों की चोट से उड़ी धूल में
एक चेहरा है जो बार-बार नुचा जा चुका
दाँत और मसूढ़े एक-एक कर झड़ चुके
आँतें भी गिरवी हो चुकीं
अर्थ से निचुड़ कर
बढ़ते नाख़ून और पंजे
दृश्य को फोड़ कर अपने पक्ष में करता मैं
वहाँ जाना चाहता हूँ दीवार से सटता-सटता
कि सर्र से गुज़र जाता है
आदमी के पास से
मेरे होने का हुजूम
एक दरार से होकर छटपटाहटों में
धीमी आँच में सुलगती हुई इबारतें
आसमान के झूठ में खुद जाती हैं
और दस्ताने पहन कर मैं उन्हीं के पास वापस
लौट आता हूँ—नंगी चमड़ी से छूने में उन्हें
कुछ जलता है मौत-सा।
sab chizen jaisi ki taisi dhari hain ek sakte ka aalam
sirf hawa phephDon mein khoon naDiyon mein sans
mutthiyon mein ki koi kahta hai ek peD apna harapan liye diye
arra kar gir raha hai
ek khauf ki jhurajhri zaban se chipak gai
jhutpute mein ek istri
bus mein apna stan bachaye utar gai
pattiyon ki chot se uDi dhool mein
ek chehra hai jo bar bar nucha ja chuka
dant aur masuDhe ek ek kar jhaD chuke
anten bhi girwi ho chukin
arth se nichuD kar
baDhte nakhun aur panje
drishya ko phoD kar apne paksh mein karta main
wahan jana chahta hoon diwar se satta satta
ki sarr se guzar jata hai
adami ke pas se
mere hone ka hujum
ek darar se hokar chhataptahton mein
dhimi anch mein sulagti hui ibarten
asman ke jhooth mein khud jati hain
aur dastane pahan kar main unhin ke pas wapas
laut aata hun—nangi chamDi se chhune mein unhen
kuch jalta hai maut sa
sab chizen jaisi ki taisi dhari hain ek sakte ka aalam
sirf hawa phephDon mein khoon naDiyon mein sans
mutthiyon mein ki koi kahta hai ek peD apna harapan liye diye
arra kar gir raha hai
ek khauf ki jhurajhri zaban se chipak gai
jhutpute mein ek istri
bus mein apna stan bachaye utar gai
pattiyon ki chot se uDi dhool mein
ek chehra hai jo bar bar nucha ja chuka
dant aur masuDhe ek ek kar jhaD chuke
anten bhi girwi ho chukin
arth se nichuD kar
baDhte nakhun aur panje
drishya ko phoD kar apne paksh mein karta main
wahan jana chahta hoon diwar se satta satta
ki sarr se guzar jata hai
adami ke pas se
mere hone ka hujum
ek darar se hokar chhataptahton mein
dhimi anch mein sulagti hui ibarten
asman ke jhooth mein khud jati hain
aur dastane pahan kar main unhin ke pas wapas
laut aata hun—nangi chamDi se chhune mein unhen
kuch jalta hai maut sa
स्रोत :
पुस्तक : अपने होने को अप्रकाशित करता हुआ (पृष्ठ 39)
रचनाकार : मलयज
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.